Followers

Friday 22 May 2015

Apne Computer Ya Laptop Ki Speed Badhaye


Amuman Log Computer ya laptop ki dhimi raftar se dukhi rahte he | Jabki Speed Badane ke Upay Bahut Hi Saral he |....
Naya P C ya LAPTOP kuch mahino tak achhi speed me chalta he , fir dhire-dhire uski
speed kam hone lagti he | Ye koi gadbadi nahi he | P C ki speed aap khud bhi bada sakte he |


* KAARAN *
P C ya LAPTOP ki speed bevajah kam nahi hoti iska karan hota he | Jab bhi hum Computer per internet Prayog Karte He aur link kholte he . To P C Uski 1 copy file tayyar kar leta he | Dhire-dhire jab in failo ka dher bahut jyada hota he , to P C ki speed kam hone lagti he | Sath hi Internet Ke Virus bhi Pc Ki Speed Ke Dushman sabit Hote He |

* HAL HE VIRUS SCAN PROGRAM *
Virus P C ki speed ke sath-sath filo ko bhi nuksan pahucha sakti he isiliye saptah me 1 bar P C virus Scan Program Jarur run Kare | Ye Computer me Chipe Khatarnak Virus Ko Khatam Kar Deta He |

* NOTE *
Kabhi Bhi Free Antivirus program Ko online Na Khareede | Isse bhi aapke P C Ki Speed Kam ho Jati He
Isiliye Antivirus Program Licensed hi lena Chahiye | Apne Najdiki Hardware Engineer Se Ise Prapt kiya ja sakta He |

* TEMPRERY FILE *
Temprery File ko hamesha saf karte rahe | Kai Bar P C per virtual Memory Bher Jati he | Jiske Karan Computer Ki Speed Kam ho Jati He | Temprery file ko Mitane ke Liye ' Start Button ' me Jaker ' Run ' me jaker ye likhe .....' %temp% ' | aur ok kare | P C me save sabhi temprery files khul jayegi | In sab ko select karke delete kar de | Isi Tarah Recycle bin bhi samay per khali karte rahe |

4 comments:

write it