Ab 15 se 18 saal tak ke teenamgers ya minors bhi internet
banking ka istemaal kar sakenge. Unke liye Account se paise nikalne ki koi
limit bhi nahi rahegi. Unhe Internet banking ke alawa Mobile Banking aur Funds
Transfer ki bhi suvidha milegi. Bachcho ko unke naam aur signature wale
personnal ATM Card issue kiye jayenge. Govt Sector ke Banks ne bachcho ko ye
suvidhadena start kar diya hai.
Ab tak Minors apna Bank account apne parents ya guardians ke saath hi khol paate the. RBI ne pichle dino is se related rules mein amendments kar diya hai. Usne 15 se 18 saal walo ko bhi apna account open aur operate karne ki suvidha di hai. Is yojna mein account ke operation mein minors ke signature ki validity bhi kisi adult ki tarah hogi. Ye bank ke records mein rahenge.