Ek young man ne ek old man se pucha, ‘Baba, jab ek din sabko
jaana hai to phir log paise ke piche kyun bhagte hain? Jab jameen-jaydad yahi
reh jaate hain to log inko apni apni zindagi kyun banate hain? Jab rishte nibhane
ki baari aati hai to dost hi dushmani kyun nibhate hain?’
Old Man ne bade dhyab se young man ke teeno sawaal sune. Phir
usne maachis ki dibbi se teen teeli nikali. Teeno ko dhyaan se dekha aur do
teeliya phenk di. Phir ek teeli ko aadhi tod kar uska upar wala bhaag phenk
diiya. Phir neeche wale bhaag ko nukela banakar daant kuredte huye bole, ‘Abe
mujhe nahi pata. Bhaag yahan se. Subah-subah dimaag mat kha!’