Followers

Tuesday 24 December 2013

Secure Gmail

Waise to sab ko pata
hai ki G-Mail hai kya lekin fir bhi
bata dete hai ki G-Mail kya hai or
iske jariye hum kya-kya kar sakte
hai? Waise to dunia me kafi trha ki
websies hai jo aapko Mail karne ya
parapat karne ki suwidhaen deti hai
lekin G-Mail world ki sabse surakshit
or tivar gati ki suwidha deti hai G-
Mail mail ko agr mote sabado me
bataya jae to iska matalb hota hia
Google-mail yani G-Mail.
Aaj ki is bhagti dorti jindgi me Khat
(Post) bhejne ka to time hai nhi to
jabse computer ne aam logo ki jindgi
me kadam rakha hai tab se wo khud
hi apne khat computer pe likhta hai
to post man bhi khud hi banta hai
or unhe mail ke jarie jahan tak
pahuchana hota hai pahucha deta
hai ab baat aati hai to G-Mail ko
sambhal kar or surakshit rakhne ki to
hume uske liye kya krna hoga uske
baare me hum aapko aaj is Post me
bataenge jo ki hai how we can make
our G-Mail secure ?
Hum kaise rakh sakte hai apne G-
Mail ko surakshit ? ( how we can
make our G-Mail secure ? )
Jaise-jaise internet ka upyog badh
rha hai waise-waise hi logo ke khato
ke Chori ( hack) hone ki khabre
badhti ja rhi hai unhi se bachne ke
ek assan sa tarika hai ki hum kaise
surakshit rakh sakte hai apne
account ko or kaise hum bacha sakte
hai apne khate ke chori hone se
sabse pehle to aap jitene bhi
account banae jis bhi site pe aapki
kosis rehni chahie ki un sab ke
password alag hon.
dusri baat ye ki aap apni jarurat ke
anusar hi account banae bekar me
bnae gye account hacker ya kisi
bade shatir ke hath lagne se aap kisi
bade jurm me shamil karar kiye ja
sakte hai or tisri baat ye hai ki aap
apne acconts ko kaise jayada
surakshit rakh sakte hai khas kar G-
Mail ko kyonki aapki G-Mail se hi aaj
ke lagbhag sare account jude hue
hai kyonki facebook jaisi badi sites
ne nirnay liya hai ki we sirf E-mail id
se hi sine up ki parikiriya puri
karenge to agr aapko kal ko kisi any
khate ke sath bhi dikat aati hai to
aap kaise kar saktenge apne anay
account ki recovery/backup to
sawdhan or aapne kisi bhi account
ka password apna naam ya date of
Birth and mobile no.etc.kabhi na
bharen ye aapke liye khatarnak ho
sakta hai...
ab hum apni baat pe aate hai jaise
ki humne aapko suruaat me bataya
tha ki hum aaj aapko bataenge ki
kasie hum aapne khate ki suraksha
ko bhada sakte hai ke bare me aaj
aapko bataya jaega..
sabse pehle aap apne khate me ( G-
Mail ) me khud ko sine in
kijiye....uske baad aapko hum bata
den ki google ne suraksha ko
badhane ke liye do trha ke option
diye hai jinke jarie aap apne khate
ko surakshit rakh sakte hai jo ki hai
1. SET UP YOUR BACKUP PHONE
2. PRINT A SET OF BACKUP CODES
ab baar use karne ki no.one ki to
iske liye aapko Click here pe click
karna hoga uske baad jo window
aapke samne khulegi usme aapko
Add a phone number pe click karna
hoga jaisa ki picture me dikhaya
gaya hai
uski baad ek box dikhai dega jisme
aapko apna phone no.bharna ( You
have to use a mobile no. ) hai...
phone no.bharne ke baad aapke
samne do vikalap ( Option ) diye
honge jisme puchha gya hoga ki aap
is phone no.jo no.aapne box me
bhara hai us ki verification aap kis
viklap ke dawara karwana chahte
hai coll ya sms ? us me aap coll ya
sms jo chahe choose kar sakte hai
( Jaisa ki niche picture me dikhaya
gya hai ) lekin sms ke dawara
varification karna achha rehata hai.
Ab baari aati hai tarika no.two ki jo
ki hai PRINT A SET OF BACKUP
CODES jiske liye bhi aapko apne
account me login rehte hue Click
here click karna hoga or uske baad
aapko niche picture me dikhae
anusar Show back-up codes pe click
karna hoga ( Jaisa ki niche wali
picture me dikhaya gaya hai ) or
uske baad aapke samne ek or
window khulegi jisme aapko 10 code
najar aaenge jo ki aapko aapke
password or account ki hacking hone
ya unable to open hone ki satithi
me aapko us tak pahuchne me
sahayata kare..

Secure Computer Password

Start button => Control Panel =>
User Accounts and family Safety =>
User Accounts => Create a Password
for your Account =>Password
Jaisa ki humare sath aksar tab aisa
hota tha jab hamare pass computer
nhi hota tha or hum jab bhi kisi ke
computer ko dekhte or chalane ki
kosis karte to humare samne
password and or user accounts ki
dikte aati thi lekin jab humare
samne humara khud ka computer
aaya to hume ye samjhne me bhi
dikte ane lagi ki hum kaise apne
computer pe ek unique account
banae or kaise us pe password set
kare to friends aaj ka humara article
bhi isi vishay (Subject) pe hai jaisa
ki hum indino me sirf or sirf yhi
bata rhe hai ki kasie hum apni sabhi
trha ke data secure or apne accounts
ko secure kar sakte hai to hum apne
subject se na bhatkte hue aapko
sidha batate hai ki kaise hum set
kar sakte hai apne pc pe set kar
sakte hai password...
To dosto sabase pehale hume apne
computer ke Start button pe jana
hoga uske baad hume apne
computer ke control panel ko kholna
hoga jis se humare bahut se
program control hote hai or unhe
thik se waywasthit kiya jata hai...
jaisa ki picture me dikhaya gya hai
Iske baad humare samne ek window
khulegi jisme kuchh vikalap diye
honge unme se hume User Accounts
and family Safety pe click karna
hoga Jaisa ki picture me dikhaya gya
hai...
Iske baad bhi humare samne ek nyi
window khulegi jisme diye gye
options me se hume User Accounts
pe click karna hoga Jaisa ki picture
me dikhaya gya hai or uske baad
hume ek or window dikhegi....
Iske baad hume Create a Password
for your Account pe click karna
hoga jaisa ki picture me dikhaya gya
hai....
Is window me humare samne ek
window khulegi jisme hume
apne computer ke liye ek password
choose karne ke liye kaha jaega iske
liye apne manpasand word ko hum
password ke rup me likh sakte hai
jise hume sabse upar ke box me
likhna hoga iske baad hume apne
wohi password dusere box me likhna
hoga iske baad ek box hume hint ke
roop me dikhega jisme hume wo hint
likhna hoga jis se hum password
bhulne ke baad bhi us word ko dekh
kar us password ko yaad kar sakenge
iske baad hume create password pe
click karna hai jaisa ki picture me
dikhaya gya hai....
iske baad hume ek or windo dikhai
degi jisme hume bataya gya hoga ki
humene kisi account pe apna
password lagaya hai hum apne
computer me ek se jayada bhi
account bana sakte hai...

Format Pen Drive

Errorble Pen drive ? )
Kai baar aisa hota hai ki hum apne
pen drive ko computer me lagate hai
to ya to wo khulti nhi hai ya fir usme
viruses ki wajaha se wo copy bhi nhi
hota to hum Pen drive ko format
karne ki sochte hai to wo bhi karna
sambhaw nhi hota agr aisa ho to
hum kya kare or kaise kare….?
Apni Pen drive lagae uske baad
apne mycomputer pe right click kare
uske baad manage ke option pe click
kare ab aapke samne computer
management ki window khulegi ab
disk management pe click kare ab
dayi taraf aapki hard disk or pen
drive dikhne lagegi ab pen drive par
right click kare fir format par click
kare ab jo sandesh aaega use yes kar
de fir ok kar de Pen drive formate ho
jaegi dhayan rhe formate karne se
pehle ye sunischit kar len ki aapne
Pen drive hi slecte ki hai warna
aapki hard disk bhi format ho sakti
hai…

History Of Mobile

Aaj hum history ke kuchh panno ko
paltenge or aapko bataenge ki kisa
rha hai mobile ka safar…?
In dino me mobile har kisi ke jiwan
ka hissa bana hua hai sath hi sath
is se hone wale nuksan (altry rays’s)
jo ki is se nikalne wali radiation’s se
hota hai uski bhi charcha joro par
hai lekin kya aap jante hai ki phone
(mobile) ko kisne or kab banaya…?
Aaie aaj hum aapko batate hai ki
iska janam se ab tak ka safar kaisa
rha hai…
Mobile ke Sansar me pehla kadam
Sabse pehle kahin bhi lekar jasakne
wale mobile ko Dr.Martin Kapoor ne
banaya jise ki 1973 Me banaya gya
tha..
1977 me logo ko iska upyog karne ke
liye Sigago desh ke 2000 nagriko ko
diya gaya tha…
1983 me Motorola namak compny ne
apna Motorola Dayna take namak
mobile logo ke liye market me utara
or tab se safar suru hua humare
hamesha haath me rhne wale mobile
ka…
Sabse pehle jo mobile market me
aae the unme sacreen nhi hoti thi
ye mobile sirf call karne ya uthane
ke liye paryog kiye jate the inka
wajan bhi lagbhag 1kg hota tha.. or
inki kimat to pucchiye mat inki kimat
hoti thi lagbhag 2 lakh rupe kya hua
chakra gye na abi kya hai age sunte
jaie…
Kya kya aae mobile me badlaw
1989 me kam wajni mobile’s ko
market me utara gya
1991 me pehla GSM mobile banaya
gya jisme sim card dalta tha isi ke
sath sim card bhi humare astitaw
me aaya…
1992 me hum apne mobile se sms
bhejne ke lyak ban gyi the….
Jiska upyog pehli baar British ke
Neel papwarth ne apne friend ko
Marry crismass bhej ke kiya tha jo ki
computer se bheja gya tha..
1993 me Finland me mobile se
mobile pe msg bhejne me bhi
maharath hasil kar li gyi thi..
1993 me pehla samarphone duniya
me aaya jo sms call ke sath sath
pejar ,PDA, FAX machine ka bhi kaam
karta tha… jo ki tuch ke aadhar pe
bhi kaam karta tha…
1994 me pehla game mobile tak
pahucha jo ki “Tetriss” tha isi saal
Bluetooth ne bhi humare mobile ke
jiwan me kadam rakha…
1996 me pehla color disply wala
mobile bana us se pehle kisi bhi
mobile me disply nhi hoti thi…
1997 me pehli baar mobile me hi
camere ka upyog kya gya jis se hum
apne mobile se hi photo khenchne
me kamyab ho gye the…
1998 me ringtone ne mobiles me
kadam rakha
2001 me pehla 2 G mobile lonch hua
2002 me 2G ko maat dene 3G ne bhi
humare mobiles me kadam rakha
2002 ke hi saal me humare mobiles
me key-Pad ko tuch screens ne maat
deni suru kar di ye thi humare har
samay haath me rhne wale mobile ki
puri kahani..
Jaise jaise mobile ka jamana purana
hota gya mobile ki kimato me bhi
girawat ane lagi or sath hi sath logo
me iski lat bhi kuchh jayada hi sir
chad ke bolne lagi hai or ek aaj
lagbhag mobile ko humare jiwan me
aae ek dasak hi hua hai q ki jab
mobile bana tha tab tak har kisi ki
us tak pahuch nhi thi…ab jab logo
ki is tak pahuch hui hai to is ke
bina logo ki jindgi me is ki kami si
mehsus hoti hai…
Lekin banagya majburi ke liye jo ab
ban chuka hai jaruri ke liye pure
sansar me unke total kharche ka ka
labhag 17.5% logo ka mobile me use
hone laga hai or jab se mobile logo
ko jindgi me aaya hai tab se logo ko
time ki kami bhi khalne lagi hai…