Followers

Tuesday 24 December 2013

Secure Computer Password

Start button => Control Panel =>
User Accounts and family Safety =>
User Accounts => Create a Password
for your Account =>Password
Jaisa ki humare sath aksar tab aisa
hota tha jab hamare pass computer
nhi hota tha or hum jab bhi kisi ke
computer ko dekhte or chalane ki
kosis karte to humare samne
password and or user accounts ki
dikte aati thi lekin jab humare
samne humara khud ka computer
aaya to hume ye samjhne me bhi
dikte ane lagi ki hum kaise apne
computer pe ek unique account
banae or kaise us pe password set
kare to friends aaj ka humara article
bhi isi vishay (Subject) pe hai jaisa
ki hum indino me sirf or sirf yhi
bata rhe hai ki kasie hum apni sabhi
trha ke data secure or apne accounts
ko secure kar sakte hai to hum apne
subject se na bhatkte hue aapko
sidha batate hai ki kaise hum set
kar sakte hai apne pc pe set kar
sakte hai password...
To dosto sabase pehale hume apne
computer ke Start button pe jana
hoga uske baad hume apne
computer ke control panel ko kholna
hoga jis se humare bahut se
program control hote hai or unhe
thik se waywasthit kiya jata hai...
jaisa ki picture me dikhaya gya hai
Iske baad humare samne ek window
khulegi jisme kuchh vikalap diye
honge unme se hume User Accounts
and family Safety pe click karna
hoga Jaisa ki picture me dikhaya gya
hai...
Iske baad bhi humare samne ek nyi
window khulegi jisme diye gye
options me se hume User Accounts
pe click karna hoga Jaisa ki picture
me dikhaya gya hai or uske baad
hume ek or window dikhegi....
Iske baad hume Create a Password
for your Account pe click karna
hoga jaisa ki picture me dikhaya gya
hai....
Is window me humare samne ek
window khulegi jisme hume
apne computer ke liye ek password
choose karne ke liye kaha jaega iske
liye apne manpasand word ko hum
password ke rup me likh sakte hai
jise hume sabse upar ke box me
likhna hoga iske baad hume apne
wohi password dusere box me likhna
hoga iske baad ek box hume hint ke
roop me dikhega jisme hume wo hint
likhna hoga jis se hum password
bhulne ke baad bhi us word ko dekh
kar us password ko yaad kar sakenge
iske baad hume create password pe
click karna hai jaisa ki picture me
dikhaya gya hai....
iske baad hume ek or windo dikhai
degi jisme hume bataya gya hoga ki
humene kisi account pe apna
password lagaya hai hum apne
computer me ek se jayada bhi
account bana sakte hai...

No comments:

Post a Comment

write it