Followers

Thursday 10 December 2015

Blogger Par Photo ya Image Kaise Dale

Hello dosto, Hume aapke bohot saare mails mile, jada mailo me blogger ki information ki mang ki gayi thi. Hum ek blogger ka section start kar rahe he. Isme aapko hum blogger ke baare me jada se jada jankari dene ki koshish karenge. Hamri koshish yahi rahegi ki aap blogging world me aap apna naam bana sake, aur ek accha blog ya website chala sake.
Chaliye jante he Blogger me Photo Kaise upload kare. Aapne mere ye pehle article me padaha hoga ki Google Blogger / Blogspot par blog kaise banate he.
Blogger ke post me photo add karna kafi asaan he. Mene detail me niche likha he image ko kaise add kare.
Step 1 : Post Kholiye
Jis post me aapko photo upload karna he, wo post open kijiye. Edit link par click kijiye.
Blogger Ka Post Khole
Blogger Ka Post Khole
Step 2: Jaha par Photo daalna he waha click kare
Post open hone ke bad aapko jaha par photo dikhana he, us jagah par cusor laaye, matlab us jagah par click kare.
Jaha par cursor rahega usi jagah par image add hogi.
Blogger Me Photo Kaise Dikhaye
Blogger Me Photo Kaise Dikhaye
Step 3 : Photo wale button par Click Kare
Cursor set karne ke bad, Photo wale button par click kare, Us button ka nam he Insert Image.
Photo wale Button Par Click Kare
Photo wale Button Par Click Kare
Step 4 : Post Me Image Upload Kare
Insert Image button par click karne ke bad aapko ek window dikhegi, usme Upload Section me Choose Files ka ek button dikhega.
Blogger Par Photo Kaise upload kare
Blogger Par Photo Kaise upload kare
Uske bad Image Select kare. Wo Image upload hogi. Uske Bad OK button par click kar de.
Aapko aapki image post me dikhai degi.

No comments:

Post a Comment

write it