3+BLOG YA PHIR APNI WEBSITE PAR AAP VISITORS KI SANKHYA BADHAKAR
BAHUT SARA REVENUE EARN KAR SAKTE HAIN. AGAR AAP KE WEBSITE YA PHIR BLOG PAR
DHER SAARE LOG VISIT KARTE HAIN TO AAP MAHINE MEIN 1000 SE 1 LAKH RUPEEYE TAK KAMA
SAKTE HAIN.
IN SAB MEIN BLOG AUTHOR YA PHIR WEB DEVELOPERS KO PROBLEMS
KAHAN AATI HAIN ? HUM KO YE SAB PATA HOTE HUYE BHI JYADA SE JYADA VISITORS KO
ATTRACT NAHI KAR PATE AUR RESULT YE HOTA HAI KI AAP 1 YA 2 SAAL BAAD TAK
DISTRACT HO KAR APNE BLOG YA WEBSITE PAR DHYAN DENA CHHOD DETE HAIN. LEKIN
YAHAN YE DHYAN DENE WALI BAAT HAIN KI YADI AAP KUCH BAATO KA KHYAL RAKHENGE TO
AAP APNI BLOG YA WEBSITE PAR JYADA SE JYADA VISITORS KO ATTRACT KAR ROZANA
JYADA SE JYADA PAISE KAMA SAKTE HAIN.
YAHAN BLOG ARTICLES KO ATTRACTIVE BANANE KE KUCH UPAYE DIYE
JA RAHE HAIN.
1.FOCUS: ARTICLES LIKHNE SE PEHLE SOCH LE KI AISA KYAA LIKHE
JIS SE JYADA SE JYADA VISITORS AAP KE BLOG YA
WEBSITE KI AUR ATTRACT HO SAKE. LOG HUMESHA APNI SAMASYAO KO NET PAR DHUNDNE KI
KOSHISH KARTE HAIN. NAYI NAYI YOJNAO AUR NAYI DEFINITION KE BAARE MEIN LIKHTE
RAHE.
2. TAG KA ISTEMAL JARUR KARE: LOG SAWAL TAG “KYA, KAISE,
KYUN, KITNE” AADI PRAKAR KE SAWALO KI AUR JYADA ATTRACT HOTE HAIN. JAB BHI KUCH
NAYA BATAYE TO PEHLE USKE KYA KYUN KAISE KE BAARE MEIN JARUR PUCHE.
3.POST TITLE MEIN SEARCH TERMS SHAAMIL KARE: APNI WEBSITE YA
BLOG KO SEO BOTS KE ANUROOP POST TITLE MEIN KEYWORDS ADDS KARE. JITNE DIFFERENT
KEYWORDS AUR LOGO KI SEARCH ENQUIRY SE MILTE JULTE HONGE TO AAPKI WEB/BLOG
SEARCH RANKING MEIN SABSE UPAR RAHEGI.
4.URGENCY KA KHYAL RAKHE: JO BHI LIKHE AISA LIKHE KI JO KI
SHORT MEIN SAMAJH MEIN AA JAYE. JYADA GHUMA FIRA KE BAAD MEIN YA AKHIR MEIN
DISCRIBE KAR KE LIKHE.
5.GALTIYO KO CHHUPAYE NAHI APNE VIISITORS KE SATH SHARE
KARE: JAB BHI AAP KUCH LIKHTE HAI TO KUCH NA KUCH GALTI HO JATI HAI YA FIR
KUUCH CHHUT JATA HAI JO AAP LIKH NAHI NAHI PAATE YA BHOOL JAATE HAIN. APNE
VISITORS KO SAMAY SAMAY PAR BATATE RAHE KI AAP UNHE PURI AUR SAHI JAANKARI
UPLABDH KARANE KI KOSHISH KAR RAHE HAIN.
No comments:
Post a Comment
write it