Followers

Sunday 30 November 2014

Credit Ratings Maintan Rakhe


Credit rating kisi bhi desh, sanstha ya vyakti aadi ki karz lene ya use chukane ki kshamta ka mulyankan hoti hai arthath koi vyakti, sanstha ya desh aarthik roop se kitna majboot hai aur kitna karz lene ya use chukane ki kshamta rakhta hai.

Credit rating agencia kisi desh ki saakh ka mulyankan karte samay uska aarthik vishleshan karti hai aur ye pata lagati hain ki wo kitna shaksham hai. Ye agencia kisi bhi desh ki credit rating tey karte samay koi nishchit formula nahi apnati hain balki apne anubhavo aur aankdo ka istemal karti hai. Wo khud hi kisi desh ya sanstha ki ratingf tey karti hain. Ye rating agencia Rating tey karte samay aankdo aur bhavishya ki sambhavnao ka bhi khyal rakhti hain.

Halanki, credit rating jaari karne wali agencio par bhi kayi tarah ke sawal uthaye jate hain lekin phir bhi in agencio dwara jaari ki jaane wali rating ka alag hi mehatva hota hai. Credit Rating agar unchi hai to sambandhit desh ya sanstha ko karz aadi lene mein jyada dikkat nahi hoti hai.

Unchi credit rating ka matlab hai ki sambandhit desh ya sanstha ki aarthik isthithi majboot hai aur wo jo karz le raha hai, wo surakshit hai. Ye hi kaaran hai ki badi companiyan aur sabhi desh is baat ki koshish karte hain ki unki credit rating humesha unchi bani rahe.