Followers

Sunday 2 February 2014

Aaj ko behtar banane ke 5 asardaar tips

Aaj hi shuruaat hai. Aaj hi zindagi hai. Aaj yaani beshkimti mauka. Aaj aapki zindagi ko kal ke liye afsos nahi ban ne dein. Padhiye aise hi 5 tariko ke baare mein :

1.Apni Zindagi ke Leader khud bane: Auro ki rai par jeena chhod de. khud ke priti sachche rahe. bahut log apne sapno aur lakshyo ko isliye aage nahi badhate hain ki dusre log unke baare mein kya sochenge. koshish karne se pehle hi wo inhe chhod dete hain. Apni zindagi ke khud leader bane. dusro ko aapka leader na ban ne dein.

2.Ghonsle mein baithe rehne se udna,acha hai: Zindagi bahut chhoti hai. ghonsle mein baithe rehne ki jokhim udne ki jokhim se jyada ghatak hoti hai. Apne pankh khole. udne ki shuruaat abhi se kare. Apni capabilities ki sundarta aur taakat ko dekhe bina umradraj hona thik nahi hai.

3.Badlav ke liye challanges ko accept kare: Jab tak aapke saamne challanges nahi honge, aap mein badlav nahi hoga. jab lakshya bada ho aur plan mushkil lag raha ho to shuruaat kare aur kuch samay ke liye ise aage badhaye. jald hi agla kadam aapko aasan lagne lag jayega.

4.Galtiyo se sikhein, anubhav se sikhein: Aap ladkhadayenge to girenge bhi. galtiyaan karenge to nakaam bhi honge. inse sikhenge. koi bhi insaan perfect nahi hota hai. aap ghayal honge, parajit nahin. anubhavo se hi aage badha ja sakta hai. takleef mein bhi kadam badhate jaye. ye aapki aantrik taaqat ko jaahir karegi.

5.Niraasha ko kabhi haavi na hone dein: Is sach ko sweekar kare ki zindagi perfect nahi hai. log perfect nahi hai. aap perfect nahi hai. sabse mehatvapoorna is baat ko accept karna hai ki haalat mushkil ho, fir bhi unhe anukool bnaya ja sakta hai. nirasha ko khud par haavi na hone dein.

2 comments:

  1. Aj ko behtar banane ka best upay hai aaj par puri tarah se ekagra hona.lekin ye asan nahi hai, practice karana hoga.
    Baki durgun khud niklne aur sadgun aane lagenge.

    ReplyDelete
  2. Aj ko behtar banane ka best upay hai aaj par puri tarah se ekagra hona.lekin ye asan nahi hai, practice karana hoga.
    Baki durgun khud niklne aur sadgun aane lagenge.

    ReplyDelete

write it