Followers

Monday 16 July 2012

Useful Smartphone apps

Aaj kal paise transfer karne ho ya phir ek sath Google aur Yahoo Messenger me chat karna ho, bas apne mobile mein app download kijiye aur manchahe kaam ko pura kijiye. Jaante hain, kuch aise hi Smartphone app ke baare mein, jin ki help se aap apna time aur paise dona save kar sakte hain.

1.Mint: Mint Smartphone finance app mein sabse achcha app hai, jise Lifehacker ne bnaya hai. Is ki help se aap apne Balance par nazar daal sakte hain. Is ke liye aapko apne ghar ya office mein computer ya phir laptop on karne ki koi jarurat nahin hai.

2.Skype: Skype free mobile app hai, Jis ki help se aap India ke bahar bhi free mein Vedio aur Voice call kar sakte hain. Is ke liye sabse pehle ise apne mobile mein download karna hoga. Agar aapke mobile mein Internet ki speed achchi hai, to is ke through Vedio aur voice call karne mein aapko koi problem nahin hogi.

3.Kik Messenger: Kik Messanger ki help se aap ISD SMS ke bill se free ho sakte hain. Aksar ISD Message karne par mobile companies achcha khasa charge wasool karti hain magar KIK Messenger ki help se aap free mein ISD SMS kar sakte hain.

4.Google Voice: Google ki is service se aap apne mobile mein Google Voice app ka use kar sakte hain. Google Voice ki help se aap India mein ya phir India ke baahar kisi bhi ek number par ji-bhar kar baate ya phir message kar sakte hain, wo bhi bilkul free mein. Is app mein aur bhi features hain.

No comments:

Post a Comment

write it