Followers

Tuesday 10 July 2012

Know The Risk Of Online Shopping

Aaj ki date mein aap Internet par lagbhag sab kuch kharid sakte hain. Aap books, clothes, mobile phone ke alawa LCD, Refridgerator aur Washing Machine jaise costly electronic item online purchase kar sakte hain. Yeh items aap Jabong.com, crazeal.com, flipkart.com,aur kuch others free online Retailors se ki ja sakti hai. Shoppers Stop aur Pentaloon jaise retailors ki khud ki Online Websites hain, jinke through inke products purchase kiye ja sakte hain. Online purchasing karte samay ek question aamtur par logo ke man mein uth ta hai ki kya jewellery aur consumer durables jaise costly product online purchase karna thik hai ya nahi ? Ya phir aapko kuch special products aur brands tak simit rehna chahiye ?
 
Beware From Risk of Online Shopping: kisi bhi store mein ja kar purchasing ki processing behad aasan hota hai. Store mein agar aapko koi product pasand aata hai, to uski payment karne ke baad  weh aapka ho jata hai. although, Online ke madhyam mein product ki booking aur payment karne ke baad bhi use aap tak pahunchne mein 2 se 15 din ka waqt lagta hai. Bahut baar aisa bhi hota hai ki kayi websites updated nahin hoti hain. Aise mein Online Shopping ke waqt websites  par to aapko maaloom chalega ki product available hai, lekin asal mein uska stock khatm ho chuka hota hai. Jab aap aise kisi product ki booking karate hain, to uske available na hone ki jaankari aapko der se milti hai. Bahut baar to isme ek hafte ka bhi waqt lag jata hai aur product aapke hath mein nahi aa pata.

Problem Of Courier Service: Online purchase kiye jaane wale jyadatar products ki delivery Courier se hoti hai. Bheje jaane wale Courier ki delivery bahut baar aise waqt mein hoti hai, jab aap ghar par nahin hote hain. Bahut baar to courier galat address par chala jaata hai. Kisi product ki delivery mein transport ke dauran uske tootne ya duplicate product ke aapke paas pahunchne ka bhi risk rehta hai. Agar book karaya product clothes ya footware hain, to uske size aur colour mein bhi change ho sakta hai.

How To Avoid Risk Of Online Shopping:
1.Kisi bhi website par order dene se pehle apne dosto ya office ke colleagues se unke kharidari se jude experiences ke baare mein puche.
2.Website choose karne se pehle Internet par us ka review read kare, is se uski reliability pata chal jayegi.
3.Agar pehli baar online shopping kar rahe hain, to Payment On Delivery Option hi choose kare.

Expert's Opinion: Jaane maane brand ya books aur mobile jaise gadgets ko online purchase kiya ja sakta hai. haalanki, Consumers ko costly products aur clothes aur footwares ko purchase karte samay dhyaan rakhna chahiye, kyunki inko kharidte samay size aur colour par khas dhyan dena chahiye.

We Trust On Jabong. Visit here to

No comments:

Post a Comment

write it