Followers

Monday 16 July 2012

E-books connects you with social networking.

Smartphone aur tablet computer ke liye aise bahut apps hain, jo E-reading ko social activity bnate hain. In ki help se writers aur dusre readers se connect reh kar apni opinion rakh sakte hain.

1.Kindle: Isi saal kindle ne gupchup tarike se social networking site kindle.Amazon.Com launch ki thi. Is par jaa kar user ko apna account register karana padta tha. Lekin baad mein Amazon ne apni is site ko facebook aur twitters se bhi jod diya. Thats mean ki user apne kindle account se facebook aur twitter ke dosto se connect reh sakta hai. Kindle ne kisi book ke para aur notes ko highlight karne ke suvidha to pehle se di huyi thi, lekin ab in para aur notes ko apne friends ke sath share bhi kiya ja sakta hai. Is ke liye user ko kindle par software upload kar hoga. Is ka ek interesting feature @author bhi hai. Is feature me kayi writers ne Sign-Up kiya hua hai. Aise mein aap jo E-book padh rahe hain, uska writer agar us feature se juda hai to us tak apni opinion pahuncha sakte hain. Is ke liye apne comment ke sath @author add karna hoga aur woh writer ki Amazon wall par dikhayi dene lagega.

2.Kobo: Yeh I-phone, I-pad sahit android base devices par chalta hai. Facebook ke through kobo E-reading ko social networking se jodta hai. Jaise hi user kisi book ko padhna start karta hai, kobo uske fb account par message post kar deta hai. Is ke through bhi selected para ya highlight fb wall par post kar deta hai. I-pad par chalne wale kobo app mein ek special feature bhi hai. Ise pulse naam diya hai, jiske through user us book ke baare mein dusre readers ki opinion jaan sakta hai.. Kobo ek book finish karne par Badge deta hai. Iske alawa agar aap koi book aap midnight se padhna start karte hain, to kayi tarah ki discounts milti hai.

3.Readmill: I-pad readmill app beta mode mein hai. Lekin www.Readmill.com par Email register karate hi website se dusre logo ki invites milni shuru ho jaati hain. User ke Sign-Up karne ke baad facebook, twitter ya tumbler account jud jata hai.

No comments:

Post a Comment

write it