Followers

Saturday 5 December 2015

Blogging Sikho

Bahut log sochte hai blogging ke baare me. Kuch log start krte hai fir thode dino me Bore or paresan hone ke baad blogging krna chhod dete hai. Lekin ek chiz hme yah dhyan rkhna hai ki agar hum apni lakshya ko paane ke liye aadhe raste se wapis laut jate hai aur jitna time hume adhe raste se lautne me lgta hai hum utni hi der me apni lakshya ko prapt kr skte the..

Bas ek chiz ki jarurat hoti hai ..wo chiz hai “Patience (Diraj)”. Jee haan agar hum thodi aur potential ke sath apne target ko achive krne ke liye apna priyas chalu rakhe toh humme success jarur milti hai.. Toh chaliye mai aap logo ko inke baare me btata hun.
Blogging Se Hone Wale Indirectly Faide
1. Khud ke Boss:

Aap soch rhe honge khud ke boss mtlb.. chaliye mai btata hu..khud ke boss matlab ki aap ke upar kisi aur ka pressure nahi rhega , sirf aap hi apne aap ko manage krenge. Apke upar koi pressure nahi rhega.
2. Up to date:

Aapke blogging ka jo bhi topic rhega, aap uss field me aur bhi master hote jaoge, aap jisse bhi related post daloge. aapko uss post ya article ke baare me better knowledge ho jayegi. Aur thodi bahut technical knowledge bhi badh jayegi. Jaise aap html, css, aur dusre web developing technologies ke bare me bhi jaanne lagoge.

    Badiya Post Title Kaise Likhe
    Badiya SEO Post kaise ke Tips

3. Earning Jyada Expanses Kam:

Haan , aap jb seriously blogging karenge toh aap acche paise kamaoge aur apko kahi jane ki jarurat bhi nahi pdegi , iska matlb aapko office work se chhutkara mil jayega toh apke travelling ke expanses bach jayenge , isse aapki achhi khasi savings bhi ho jayegi..

Janiye – Blog start karne ke liye kya kya chaiye
4. Time Management:

jab aap blogging me ghus jate hai toh aap time ko manage krna bhi sikh jate hai. Yaani ki aapko kb kon Sa post daalna hai. Aap raat ko bhi blogging kr skte ho. Iske liye Aapko specific time nikalne ki jarurat nahi pdti hai. Toh iss tarah se aap khali time ko bhi utilize kar skte hai.
5. Better Communication Skill:

Aapko toh pata hi hoga jb aap koi post ya article apne blog pr post karte hai toh viewers aapke post par comment karte hai. Toh un comments ko aapko reply bhi karna pdta hai. Kuch negative comments bhi aate hai phir bhi aap apne emotions ko control krke uss comment ko ignore krte hai ya reply krte hai. Isse aapki communication skills bhi achhi ho jati hai. Aapko puri dunia se interact krne ka mauka milta hai.

Read: Online Internet se Paise Kamane ke 5 badiya Tarike
6. Eager to learn:

Jo log blogging krte hai wo hmesha kuch na kuch sikhna chahte hai.. Wo apne readers ke liye kuch na kuch nya dene ke liye lage rhte hai. Aise mein unki sikhne ki pravirti aur badh jati hai. Isse wo thoda attentive ho jate hain. Aur internet se hmesa kaam ki chize hi search krte hai.

Mera Principle: Har Roj kam se Kam ek New Chij sikho jo kal tak nahi aati thi.
7. Entrepreneurship:

Jb aap khud ka kaam krte hai toh apke andar josh rhta hai. Aap apna kaam kisi bhi kimat me pura krna chahte hai. Issi tarah jb aap blogging krte hai toh apne blog ko popular krne ke liye aap apna saara energy blog ko popular krne me lga dete hai. Aur fir apne blog ko ek organisation ka roop dene ki koshish krte hai jisse aapke andar entrepreneur bnne ki quality aane lgti hai. Iss tarah se aap ek bahut hi bde entrepreneur ban skte hai.

Iss post me bss itna hi.. agar apko achha lga toh iss post ko adhik se adhik share kare, jisko beginner bloggers bhi padhe aur padhne ke baad blogging ko aur ache se kare or Apni Success ki sidi par chadne me madad mile.