Followers

Wednesday 20 May 2015

Registration Process of Indane Gas

QUE: Maine indane gass ka nya connection regstraction kiya bt uska payment krne ka online proses nhi mil paa rha h plz mujhe btaye.

ANS: Helo Madam, thanks for contacting us. Madam, Indane Gas Online Registration karne ke baad aapko apne nazdiki indane gas agency se kyc updation ke baad Cylinder milne par payment karna hoga. Regards, Apna Blog

Reply: Thanks
> Bt ab mai uske pass apna registration nob lek gai to wo connection dene k
> liye mna kr rha h
> Bol rha h ki village k liye connection nhi milta h
> Kewl ngrpalika k andr ane walo ko milta h
> Ab kya kre pls mujhe btao
> Onlin reg ho gya costmr care se bat hui usne bola ap jak connection le skti
> h bt ab wo mna kr rha h


Apna Blog's Reply: Madam,

Aapne Online Registration karte time reference no to note kiya hoga
na, aap indane ki site par jakar Check Application status par click
kar ke dekho aapki application reject to nahi ki gayi.

Jahan tak sawal hai uske mana karne ka to uske bahut si wajah ho sakti
hai. Jaise ho sakta hai ki aapke dealer ke yahan internet connection
na ho. Ya phir use Online Connection dene ka process nahi pata
ho.Wajah bahut sari ho sakti hain, humare yahan yojnaye to chalayi
jati hain par systematic tarike se nahi chal pati.

Khair jo bhi ho aapko pehle status check karna hai. Agar aapko online
status check karne mein koi problem aati hai to aap toll free number
For any Complaints/Queries
1800-233-3555 (Toll Free)
par call kare.
Aap Indian Oil ki website par jakar Indane Gas Company aur Distributor
ki shikayat bhi kar sakti hain. (Meri Personnal Salah hain Agar aap
small rural area se hain to complaint na kare)

Sab kuch try karne ke baad antim vikalp Gas Agency pe jakar hi Naya
Connection lene ka hoga.