Followers

Saturday 16 May 2015

BLOG BANAYE

Bahut se logo ne mujhe email bhej kar poonch ki free me blog kaise banate hai. Blog banana bahut hi aasan hai. Agar aap online kuch money earn karna chahte hai aur logo ki help karna chahte hai to blogging bahut hi acha rasta hai. Aap agar english nahi bhi jante hai to bhi pareshan hone ki jaroorat nahi hai aap hindi font ka use karke apni baat apne audience tak pahuncha sakte hai. Internet par aise kai free blogging platform available hai jinki help se aap blogging start kar skte hai. Blogger and word press dono sabse best service provide karte hai to mai hamesh apse inme se eak ko select karne ke liye kahoonga. Agar aap meri rai janana chahte hi to mai hamesha pahla naam blogger ka hi loonga , kyunki yah Google ke dwara provide ki jati hai, use karne me bahut hi easy hai aur seo optimized bhi hai.Yanha par mai apke saath share karne ja raha hoo ki - "blogger service par free me blog kaise banaye?" Blogspot par blog kaise banaye --- 1 Sabse pahle agar apka gmail par koi account nahi hai to apna eak Gmail account banaye kyunki blogger service keval gmail ko hi support karta hai. 2 Apne browser par type kare www.blogger.com jab website open ho jaye to apne gmail id aur password ke saath sign in kare. 3 Display name enter kijiye jo aap apne blog post me show karna chahte hai aur continue par click kijye. 4 Create your blog now par click kijiye. 5 Apne blog ka liye tittle name select kijiye aur uplabdh url enter kijiye. Aap apne url ke liye apna name , bussiness name or any keyword name use kar sakte hai. Aap ' check availability ' par click karke check kar sakte hai ki url available hai ki nahi. 6 Next step me eak template choose kijiye jo apke blog ka pahla basic design hoga. Aap baad me custom template ka use kar sakte hai. Agar aap eak professional type blog banana chahte hai to mai hamesha aap se kahoonga ki custom template use kare. Internet par bahut si website available hai jo blogger platform ke liye free me custom template provide karti hai. 7 Create blog button par click kare. 8 Aapka blog tayar ho gaya hi yanha par aap create new post button par click karke apna pahla post likh sakte hai. 9 Post title ki jagah par apni post ka tittle likhe and box me details , save aur publish kare apki post world ke liye tyaar hai. Agar aap blogging me successful hona chahte hai to daily kam se kam eak post likhe. 10 Agar aap apne blog ke liye naya page create karna chahte hai to aap 'pages ' tab par click karke publish kar sakte hai. 11 Agar aap apne old template ko custom template me badalna chahte hai to yah aap ' Design ' tab ke under kar sakte hai. 12 Agar aap chahte hai ki kaun aapki site ko dekhe, Contribute kare aur comments de, Yah aap 'setting' tab me jakar set kar sakte hai. Aap apne saath naye authors ko bhi sub tab 'add authors' ke jariye add kar sakte hai. Aab aap uper diye gaye instructions ki help se aasani se blog bana sakte hai. Bahut sare hamare Indian bhai , bahan english language ke saath bahut adhik comfortable nahi rahte hai to unki suvidha ko dhyan me rakhte hue humne ye post " Free blog kaise banaye " roman hindi me likhi hai. Agar apko yah post pasand ayi hai aur aap humse conect rahna chahte hai aur eak bhi post miss nahi karna chahte to hame facebook par join kare. Hamari Website ke sidebar me Facebook widget par click kar aap hamare Facebook page ko dekh sakte hai.