Followers

Tuesday 21 April 2015

Paise to bahut hai nivesh Karna hai, lekin kare kaha samajh nahi aa raha hai. To aaiye mai batata hu ki nivesh kaha kare. Nivesh ke bahut tarike hai,inko 2 bhago me bata gaya hai: 1:Debtmarket Aur 2.Capitalmarket. 1.Debtmarket: Debt market me nimnlikhit nivesh ke options rahte hai: •Bank deposits Jaise- a.savings account b.recurring deposit c.fixed deposit. •PPF(public provident fund) •Bonds and debentures •Kisan vikas patra •Post office deposits, etc Ye sab nivesh debt market ke bhag me aate hai, Debt market me risk bahut kam hota hai iske sath hi returns bhi simit hota hai. Jo log kam risk lekar nivesh Karna chahte hai to unke liye upar diye hue nivesh ke tarike achche hai. In sab nivesh ke options me nivesh karke 4% se 9% tak returns Kama sakte hai.