Followers

Monday 26 January 2015

Question Asked By Hatim Ali

Question: admin muje yeh bataayen ki network company like vdfn,idea ye sab apne apne customers ko alag alag internet speed provide karwaate he yaa phir sabhi customers ko ek jaise speed hi milti he? (Asked By hatim ali)

Answer: Humare telecom operators jaise vodafone, idea, airtel docomo sabhicustomers ko ek jaise internet speed nahi deti, wo customer ke dwaraliye gaye data plans ke anusar hi speed provide karti he, agar mein 3Gplan lunga to mujhe 128kbps se lekar 512kbps ki speed milti hai auragar main 2G plan lu to mujhe 48kbps ki hi speed milegi. Kabhi-kabhinetwork aur location ke hisab se kam speed bhi milti hai. Jaise mereghar se Docomo ka network tower dur hai aur meri location mein docomoke customer bhi jyada hain to mujhe network jam jaisi problems kasaamna bhi karna padega.

Question Asked By Juzer Radiowala

Question: hello sir muje bataaye ki ham cd,pendrive ko burn kese krte he aur kab kis condition pe ise burn krna chahiye burn krne ki zaroorat kab padti he. (Asked by Juzer Radiowala)
Answer:Burn karne se matlab hota hai data write karna, jab bhi aapko cd yapen drive me data store karna ho to aap use burn karenge. Ye aap parnirbhar karta hai ki aapko jab jarurat ho tab burn kare.