Followers

Thursday 27 November 2014

Online Transaction in Minor Account


Ab 15 se 18 saal tak ke teenamgers ya minors bhi internet banking ka istemaal kar sakenge. Unke liye Account se paise nikalne ki koi limit bhi nahi rahegi. Unhe Internet banking ke alawa Mobile Banking aur Funds Transfer ki bhi suvidha milegi. Bachcho ko unke naam aur signature wale personnal ATM Card issue kiye jayenge. Govt Sector ke Banks ne bachcho ko ye suvidhadena start kar diya hai.

Online transaction in minor account

Ab tak Minors apna Bank account apne parents ya guardians ke saath hi khol paate the. RBI ne pichle dino is se related rules mein amendments kar diya hai. Usne 15 se 18 saal walo ko bhi apna account open aur operate karne ki suvidha di hai. Is yojna mein account ke operation mein minors ke signature ki validity bhi kisi adult ki tarah hogi. Ye bank ke records mein rahenge.

INDIA aur NEPAL


Nepal mein in dino SAARC submit chal rahi hai. Narendra Modi as a Prime Minister pehli baar SAARC submit mein part le rahe hain. Modi ke PM ban n eke baad ye unki Nepal ki 2nd visit hai. Nepal kuch samay pehle tak world ka ekmatra Hindu Country tha lekin ab ye Secular country ban gaya hai. Nepal, Bharat(India) ki neighbouring country hone ke sath-sath samantao ya similarities mein bhi India se milta julta desh hai. Aisi hi kuch similarities ke bare meein baat karte hain.

India aur Nepal

Similarities Between India and Nepal:
1.Nepal aur India ki dress, language aur vyanjan ek jaise hi hai.
2.Nepal aur India dono hi secular countries hain.
3. Nepal aur India dono hi anekta mein ekta par vishwas karte hain.
4.India ki hi tarah Nepal mein different religion, different caste, different regions hain par sab united hai.