Followers

Sunday 2 February 2014

Aaj ko behtar banane ke 5 asardaar tips

Aaj hi shuruaat hai. Aaj hi zindagi hai. Aaj yaani beshkimti mauka. Aaj aapki zindagi ko kal ke liye afsos nahi ban ne dein. Padhiye aise hi 5 tariko ke baare mein :

1.Apni Zindagi ke Leader khud bane: Auro ki rai par jeena chhod de. khud ke priti sachche rahe. bahut log apne sapno aur lakshyo ko isliye aage nahi badhate hain ki dusre log unke baare mein kya sochenge. koshish karne se pehle hi wo inhe chhod dete hain. Apni zindagi ke khud leader bane. dusro ko aapka leader na ban ne dein.

2.Ghonsle mein baithe rehne se udna,acha hai: Zindagi bahut chhoti hai. ghonsle mein baithe rehne ki jokhim udne ki jokhim se jyada ghatak hoti hai. Apne pankh khole. udne ki shuruaat abhi se kare. Apni capabilities ki sundarta aur taakat ko dekhe bina umradraj hona thik nahi hai.

3.Badlav ke liye challanges ko accept kare: Jab tak aapke saamne challanges nahi honge, aap mein badlav nahi hoga. jab lakshya bada ho aur plan mushkil lag raha ho to shuruaat kare aur kuch samay ke liye ise aage badhaye. jald hi agla kadam aapko aasan lagne lag jayega.

4.Galtiyo se sikhein, anubhav se sikhein: Aap ladkhadayenge to girenge bhi. galtiyaan karenge to nakaam bhi honge. inse sikhenge. koi bhi insaan perfect nahi hota hai. aap ghayal honge, parajit nahin. anubhavo se hi aage badha ja sakta hai. takleef mein bhi kadam badhate jaye. ye aapki aantrik taaqat ko jaahir karegi.

5.Niraasha ko kabhi haavi na hone dein: Is sach ko sweekar kare ki zindagi perfect nahi hai. log perfect nahi hai. aap perfect nahi hai. sabse mehatvapoorna is baat ko accept karna hai ki haalat mushkil ho, fir bhi unhe anukool bnaya ja sakta hai. nirasha ko khud par haavi na hone dein.

Aadhar Link ke liye 28th Feb tak mohalat

Central Government ne bhale hi rasoi gas cylinder ke liye aadhar link kiye jaane ki vyavastha par rok ki baat kahi ho, lekin oil companies ko is sambandh mein koi aadesh nahi mile hain.
Ye hi karan hai ki oil companies ne direct cash benefit transfer scheme ka grace period 28th Feb tak badha diya hai. Iska matlab hai jin rasoi gas customers ke aadhar number unke bank accounts se link nahi huye hain, unhe iske liye ab 28th Feb tak ki mohalat di gayi hai. Jo customers is period mein aadhar link nahi karwayenge, unhe 1st March se cylinder ke liye 451.50 rupees ki badle pure daam yaani 1221.50 rupees dene hoge.

SUBSIDY KA NAYA CALCULATION:
Non-Subsidized cylinder ke rates : 1221.50
Subsidy wale cylinder ke rates : 451.50
Customers ke account mein aane wala amnt : 770
51 rupees vat lagne par : 719

Aadhar link na karane walo ko 51 ka faayda: Jin Customers ke aadhar number bank accounts se link nahi hai, unhe vat nahi dena hoga, isliye unhe 51 rupees ka faayda hoga.

Note: 1st Feb se non subsidized cylinder ke rates 112 rupees kam huye hain, 31st Jan tak aise cylinder ke rates 1333 rupees thi. Petroleum Mantralay ne iske daam ab 1221.50 rupees kar diye hain...