Followers

Thursday 26 December 2013

A Foreigner And Mahabharat

Ek angrej train se safar kar raha tha. usne saamne baithe raju se pucha, 'yahan kis-kis state me ghuma jaaye aur wahan ke logo se baat kaise ki jaaye.' Raju ne kaha, 'aap Maharastra, Punjab, Gujrat, Hariyana, aur up chale jaaye. ye khud me mahabharat hain.' Angrej ne pucha, 'main kaise jaan sakta hu ki kaun-sa vyakti kis state ka hai?' Raju bola,'abhi 10 ghante ke safar me sabse milwa dunga.'
Kuch der baad Hariyana ka ek chaudhary muncho par taav deta hua baith gaya. Angrej ne pucha ki wo is se baat kaise kare? Raju bola, 'chup-chap baithe raho aur apni muncho par taav dete raho. ye khud baat karega.' Angrej ne apni safachat muncho par taav diya. Chaudhary utha aur angrej ko do chante jad diye. Thodi der baad ek marathi aa kar baith gaya. angrej ne pucha ki wo is se baat kaise kare? Raju bola, 'is se bolo ki 'bombai' bahut badhiya hai. Angrej ne marathi se yahi bol diya. Marathi utha aur thappad lagate huye bola,'abe bombai nahi mumbai. samjha.' Thodi der baad ek gujrati saamne aa kar baith gaya. Angrej gaal sehlate huye bola, 'is se baat kaise karu?' Raju ne kaha, 'is se bolo Sonia Gandhi zindabad.' Angrej ke aisa kehte hi Gujrati ne kaskar ghusa maara aur bola,'Narendra Modi zindabad.'
Iske baad ek punjabi ke aane par bhi angrej ne wo hi sawal pucha to Raju bola, 'is se bas puch le ki 12 baj gaye kya?' Angrej ne thik aisa hi kaha aur sardar ji aav dekha na taav angrej ko utha ke niche patak diya. pehle se pareshan angrej ne khijkar Raju se bola, 'saare states se milwa diya ab up se bhi milwa do.' Raju bola, 'are, tujhe jabse pitwa kaun raha hai.'

Correction in CTET Form before 3 Jan 2014

Central Board of Secondary Education ki aur se aayojeet kiye jaane wale Central Teacher Eligibility Test ke liye Applicant apni application ka status check kar sakte hain..

Application se related jaankari website www.cbsc.nic.in par dekh sakte hain.
Applicant application se related correction 3 january 2014 tak kar sakte hain.