Followers

Sunday 3 November 2013

Diwali Ka Tyohar Aur Humara Message

Diwali jo khushiyon ka tyohar hai, har taraf roshni aur patakho ka shor hai. Har ek insan kitna khush hota hai is tyohar mein. Sab apni-apni samarth ke anusar kharch karne mein bhi piche nahi rehte. Jis ki aamdani 3-4 hazaar mahine hoti hai wo bhi is tyohar ko utne hi utsah se manata hai jitna ki mahine mein lakho rupeye kamane wala manata hai, bas paise ki hasiyat ko chhod kar koi kisi se kam nahi hai.

Kabhi-kabhi aisa lagta hai ki ye Diwali ka tyohar na hota to kitna achcha hota kyunki is tyohar ko sab achche se manana chahte hai par in sab logo mein ek aisa varg bhi hai jise tyohar manana to chhodo thik se do waqt ki roti bhi nahi milti aise logo ke liye kya diwali kya dusshera. Aise logo ko to in tyoharo se bas ye hi umeed rehti hai ki in avsaro par koi bada saab aayega aur unko kambal ya shaal ka daan de jayega jo ki in garibo ko thandi ke dino mein marne se bachayega. In logo ke liye bas ye hi matlab hai is tyohar ka.

Afsos hai ki hum ye sab jaante huye bhi apni aankhein band Karke baithe hain hum karna to bahut kuch chahte hain lekin kar nahi paate hain bas apni hi duniya ko sajate rehte hain, Ye jaroori bhi par humko thoda waqt aise logo ko ke liye bhi dena chahiye jo economically weaker section hai, lekin iska matlab ye nahin ki aap seedhe paise se inki help karein. Paise help karke hum kisi ko nikkama bana sakte hai mehanati nahin.
Diwali ke baad in logo ki help karne ke liye waqt jaroor nikale, aakhir Diwali 'andhere' par 'ujale' ki aur 'jhooth' par 'sachchai' ki jeet ka tyohar hai, hum isi asha ke sath ye tyohar manate aaye hain aur manate rahenge par dosto is Diwali se hum garib logo ki help bhi jarur karenge.

Sabhi logo ko 'mehratech-hindi.blogspot.in' ki aur se Happy Diwali.

Home Page