Followers

Saturday 26 October 2013

Baba Sobhan Sarkar aur 1000 tonn Sona

Kuch dino pehle bada ho-halla ho rha tha, karan tha ki Ek sanyasi ne sapna dekha ya kahe ki un sanyasi ke sapne mein ek Raja aaye the aur unhone us sanyasi ko apna khazana jo ki lagbhag 1000 tons sona nikalne ko kaha jo ki hindustan ke swatantra sangram 1857 ke dauran un raja ne zameen mein dafna diya tha.
Ji haan, hum baat kar rahe hain U.P. ke unnao district ke Dondiyan kheda goan ki aur Sant Shobhan Sarkar ki. Sab kuch sant shobhan sarkar ke anusar hi chal rha tha kendriya mantri se lekar bharat ke pradhan mantri tak sabhi logo tak baba apni baat pahuncha chuke the, 1000 tons sone ki chamak bhi aisi thi ki GSI aur ASI jaisi puratatva vibhag bhi UP ke unnaov ke dondiya kheda goan "Geti, phavda aur khurpi" lekar khudai karne pahunch gaye.

Sab kuch thik chal raha tha par is desh ka bhagya hi aisa hai ki zara si baat par halla bahut machta hai. Yahan bhi pahunch gaye "Media" wale apni-apni Ovi Van, mike aur camera lekar bus fir kya tha 3 4 din aisa ho halla macha ki sab jagah baba Sobhan sarkar aur 1000 ton sone ki charcha hone lagi.
Chunavi mahol aur neta log chup baithe aisa na kabhi hua hai aur na kabhi hoga, isi dauran apne desh ke Bhavi PM shri Narendra Modi ne bhi apna tadka is maamle ye daalte hue bola ki "Dilli mein baithi Congress Sarkar ek Sant ke Sapne ko sach maan kar sone khodne baithi hai kintu swiss banko me jama arbo rupeye ke kaale dhan ko wapas laane ke liye koi prayatn nahi karti".
Bas Modi ka ye bolna bhar tha ki sab partiyan koond padi apne apne vichar prakat karne ke liye aur dusri party ko nicha dikhane ke liye.

Media bhi bahut prabhavit karta hai humare desh mein, media walo ne bhi Kendriya Sarkar, GSI aur ASI par sawal utha diye ki ye andhvishwas ko badhava de raha hai.

Media wale bhale hi TRP ke liye apne studio mein bade bade logo ko bulakar badi-badi behas karwate hain lekin ant mein bhala hi karte hain.

Media aur political parties ne sant sobhan sarkar aur 1000 tonn ke sone ka sapna tod diya, ASI, GSI aur Kendriya Sarkar ne kaha Ki hum andhvishwas ko badhawa nahi de rahe aur baba ke kehne par sone ke liye khudai nahi kar rahe hai.
Bas kuch dino baad mamla rafa-dafa ho gaya aur aaj television par media bhi is maamle par chup baith gaya. Sant Sobhan Sarkar ka sapna bhi adhura reh gaya aur desh ka aarthik sampann ban ne sapna bhi sapna hi reh gaya.

Humare desh mein Aam aadmi itna bewakuf to nahi hai ki baba, sarkar aur media ki baato ko samjh bhi na paaye khair jo bhi ho pichle dino is drame ko dekh kar maza to khub aaya.