Followers

Thursday 24 October 2013

Currency Depreciation

Mudra mein girawat yaani currency depreciation ka matlab hai Floating Exchange Rate par kisi ek desh ki currency ki kimat ek ya ek se adhik desho ki mudra ki tulna mein kam ho jana. Agar aasan shabdo mein kaha jaye to har desh ki currency ki dusre desho ki currency ke muqable ek kimat hoti hai. Jab dusre desho ki currency ki tulna mein kisi desh ki currency ki kimat kam hoti hai to ise currency depreciation kaha jata hai. Agar kisi bhi currency mein depreciation hota hai to us se desh ki arthvyavastha bahut tarah se prabhavit hoti hai.

Vyapar par currency depreciation ka sabse jyada prabhav padta hai. Is se niryat to sasta padta hai lekin aayat usi anupat mein mehanga ho jata hai. Jis se aayatit utpad ke daam gharelu bazar mein badh jate hain. Example ke liye, haal hi mein rupees mein dollar ke muqable aayi girawat ke kaaran bharat ko oil ka aayaat mehanga pad raha hai jis se gharelu companiya uske daam badha rahi hain. Is se gharelu level par mehangai ki rate bhi prabhavit hoti hai.

PBV

Kisi share ke book value se uske bazar bhav ki tulna kar yeh anuman lagaya ja sakta hai ki wo share apne vastavik mulya ki tulna mein kitna mehanga ya sasta hai. Iske liye PBV anupat ka sahara liya jata hai. Mulya-aay anupat(PE) ki hi tarz par PBV yaani Mulya aur Book value ke anupat se yeh pata chalta hai ki koi share apne vastavik mulya ke kirne gune par kaarobaar kar raha hain.