Followers

Thursday 28 February 2013

Sudhar gaya hoon main

Ek hunar hai jo kar gaya hoon main,
Sab ke dil se utar gayaa hoon main,

Kaise apni hansi ko zabt karun,
Sun raha hoon ke ghar gaya hoon main,

Kya bataun ke mar nahi paata,
Jeete jee sab se mar gaya hoon main,

Ab hai bas apna saamna darpesh,
Har kisise guzar gaya hoon main,

Wo hi naaz-o-ada, wo hi gamze,
Sar-ba-sar aap par gaya hoon main,

Ajab Ilzaam hoon zamaane ka,
Ke yahan sab ke sar gaya hoon main,

Kabhi khud tak pahuch nahi paaya,
Jab ke vaan umr bhar gaya hoon main,

Tumse janaan mila hoon jis din se,
Be-tarah,khud se dar gaya hoon main,

Koo-e-jaanaan mein sog barpaa hai,
Ke achanak, sudhar gaya hoon main