Followers

Friday 21 September 2012

Display Problem in Computer and Laptop

Kabhi-kabhi hum computer par kaam karte waqt aisi choti-choti pareshaniyo se do-char hote hain jo ki maamuli problems rehti hain par hume computer ka achi tarah se gyan na hone ke kaaran unhe suljha nahin paate...
So, main aaj aapko kuch naya sikhane wala hun jo aapke bahut kaam aayega..

To start karte hain Taskbar se related kuch function, jo ki bahut kaam ke aur majedaar hain..
Taskbar: Taskbar wo jagah hai jahan par Start Menu, Quick Launch, Active Programs aur other toolbar show hote hain. Jab hum Taskbar par right-click karte hain to hume following option show hote hain. Options aur unse kya hota hai wo main niche post kar raha hun:
1.Toolbar: Jab hum Taskbar par right click karte hain tab sabse upar humein 'Toolbar' ka option show hota hai, isme bhi hume aur option show hote hain,
i)Address: Address ko select kar hum taskbar par hi address bar locate kar sakte hain jis se hum wahan se direct kisi bhi website ko open kar sakte hain.
ii)Link: Link ko select kar hum bookmarks ko taskbars se hi access kar sakte hain.
iii)Desktop: Desktop ko select kar aap taskbar se hi desktop ke kisi bhi program ko open kar sakte hain wo bhi active window ko minimize kiye bina..
iv)New Toolbar: New Toolbar ki help se aap apni jarurat ke hisaab se naya toolbar create kar sakte hain.