Followers

Thursday 20 September 2012

India beat Afgahnistan in T20 Match

T20 World Cup 2012(Sri-Lanka) ka aagaj ho chuka hai. Sabhi team T20 ka badshah ban ne ke liye apna pura jor laga rahi hai.. Kal India aur Afgahnistan ka romanchak match hua jise Team-India ne matra 23 run se jeeta, waise Team-India se umeed kahin jyada bade antar se jeetne ki thi par Team-India kogir-pad kar jeet haasil huyi. Virat Kohli jo aaj kal Team India ki nayi 'deewar' ke roop me jaane ja rahe hain ko chhodkar koi bhi batsman asar nahi chhod paya.. Waise taareef ke haqdar Afghan ke khiladi bhi rahe jinhone bahut acha khel khela..

Gautam Gambhir ek baar phir Team India ko shaandar opening nahi de paaye jo unke liye ek 'Gambhir' samsya hai.. Har baar ki tarah is baar bhi Virendra Shehwag shuruati josh dikha kar wicket ke piche lapak liye gaye.... Han Kohli(50, Man of the Match) ka sath Raina ne jaroor diya aur aakhiri overo mein Dhoni ne hath ajmaaye tatha Team ka score ek sammanjanak istithi tak pahunchaya..

Ab bat kare Afghani khiladiyon ki to ye baat to man ni padegi ki unka pradarshan bhi acha raha. Shaapoor jaise bowler jisne Team Afghan ko shuruwati break-through dilaya aur Mohammad Sehjaad jo koi khas kamal to na dikha sake par Afghan Cricket ke liye sunhara bhavishya hain. Abhi tak hum News Channels mein Afghanistan ke baare mein sirf aatankwaad, bomb explosion etc, ki khabre hi dekhte the par pehli baar Afghanistan ka naaam ek achi khabar ke roop mein aaya.

Kher ye match to India ne 23 run se jeet liya, ab India ka agla muqabla pichli T20 champion England se 23 Sep ko hoga. Umeed hain ki Team-India apne form mein lautein aur bowler bhi apne rang mein aaye jis se team india dusri baar T20 WC ka Champion bane..