Followers

Wednesday 29 August 2012

youtube ke fantastic facts

youtube se hum sabhi aajkal bhale prakar se jaante hi hain. Youtube pe video upload kiye jaate hain. to chaliye jaante hain Youtube se related kuch facts jo majedaar aur interesting hain.
1.Youtube ki shuruaat 2005 mein huyi thi. Youtube ko Steve Chen, Chad Hurley aur Javed Karim ne milkar bnaya hai.
2.Jawed Karim ne youtube par pehla video post kiya tha 23 April 2005 ko aur video k title tha "Me at the zoo" is video ko 3.24 million baar dekha jaa chuka hai.
3.Har hafte, youtube pe itne video post kiye jaate hain ki 60,000 full length ki film bnayi ja sakti hai.
4.Ab tak ka sabse lamba video youtube par 48 hours ka hai jo ki continue 2 din tak chalta rahega.
5.Youtube par 490million users hai.
6.Takriban youtube ka har ek user 14 baar youtube dekhta hai har mahine mein.
7.70% visitors youtube par america se baahar ke hote hain. yani ki sirf 30% america ke visitors hote hain.
8.Youtube par sirf 10% video hi HD quality mein available hain.