Followers

Friday 24 August 2012

Now you can send 20 SMS per day Instead of 5 SMS

Ab aap daily maximum 20 MMS ya SMS kar sakenge. Sarkar ne thhok MMS aur SMS par lagi rok par raahat dete huye yeh nirnay liya hai.
Sanchar mantralay ne thursday ko ek adhisuchna jaari kar kaha ki ek din mein adhiktam message ki sankhya badha di gayi hai. Yeh faisla turant prabhav se laagu ho gya hai. Central Govt. ne 18 august ko thhok message par pratibandh laga diya tha. Iska kaaran eastern states ke logo ke khilaaf message ke jariye fail rahi afwah par rok lagana tha. Pratibandh ke baad ek din mein adhiktam 5 MMS ya SMS kiye jaa sakte the..
Aaj kal humare desh mein afwaahein Mobile aur Internet se hi adhik failaayi jati hai. 

20 SMS ki paabandi 31st August tak ki hai uske baad shayad 100 SMS tak ki sankhya badhayi jaayegi.. Youth ke liye to yeh baat ekdum dil khush karne wali hogi kyunki humara youth to bas chating aur smsing mein apna waqt barbaad karta hai.. Jab Govt. ne 5 SMS per day ki paabandi lagayi thi tab maine facebook par kuch youth ke comments dekhein jinhe yeh bhi nahi pata tha aakhir Govt. ne ye paabandi kyun lagayi..
(YE HAI HUMARI AAJ KI SOCIAL ENGINEERING,,,,  WTF)
Khair jo bhi ho news to yehi hai ki ab aap ek din mein 20 MMS ya SMS bhej sakte hain..