Followers

Friday 13 July 2012

Android Apps for Students

Aaj main aapko College going youngsters ke kaam aane wale 5 Android Apps ki jo unhe update rakhenge ke baare me btata hun.

1.Camscanner: iske jariye notes ki hard copy ko scan kar PDF file mein convert kar sakte hain. Jab kabhi bhi notes padhne ka time mile, to mobile mein save PDF File ko open kar padh sakte hain. Ye app online free download ke liye available hai.

2.Wikipedia: wikipedia ke baare mein jyada btane ki jarurat nahin, kyunki puri duniya mein wikipedia sabse jyada dekhi jaane wali websites mein se ek hai. Padhai se judi koi bhi jaankari leni ho, to is se behtar aur koi site nahin ho sakti. Ab yeh site mobile app ke roop mein bhi available hai, jise aap apne Smartphone mein download karke kahin bhi use kar sakte hain.

3.Formula Light: Educational App ki range mein formula light ek shaandar app hai. Is ke dwara user kisi bhi subject se judi jaankari le sakta hai. Example ke liye jaise agar aapko maths ya phir science ke baare mein jaan na ho, to is app se aap apne mobile se jaan sakte hain.

4.EverNote: Yeh app ek tarah se dusri brain memory ki tarah kaam karta hai. Ever Note mein user apne important notes ko save kar sakta hai. Ever Note ko tablet, laptop aur computer mein bhi download kar save kar sakte hain.

5.Webmaster Dictionary: Internet Dictionary mein sabse popular hai Marium Webmaster, jise puri duniya mein pasand kiya jata hai. Simple Dictionary ki tarah is mein kisi bhi word ka meaning search kar sakte hain, that means ab apne bag mein heavy dictionary le kar chalne ki jarurat nahin.

Hackers hacks yahoo

Yahoo ko hackers ne apna nishana banaya hai. Iske 4,53,000 users ke password leak kar liye gaye hain. Thursday ko jaari ek report mein ye baat saamne aayi hai. Ek online suraksha company ne kaha hai ki yahoo voice ke server hack kiye gaye hain, jo pehle Associated Content ke naam se jaana jata tha. Online Suraksha Company ne aashanka jatayi hai ki hackers ne yahoo ke database se data aur information hack karne ke liye SQL Injection Attack ke through ye password haasil kiye hain. Yahoo ne kaha hai ki hackers group ne khud ki pehchaan D33D Company ke roop mein btayi hai. Last month hi 'Linked In' ke 6 lakhs se jyada users ke password bhi hack hue the.