Followers

Thursday 12 July 2012

Facebook Can Be More Secure

Facebook ne Users ke account ki suraksha ke liye kayi kadam uthaye hain. Inki madad se aap bhi apne Account ko Safe bana sakte hain.

1.SSL Encryption: Facebook ab browsing ke liye SSL Encryption ka use kar raha hai. Ise 'On' karne ke liye Account Settings mein ja kar 'Security' par click kare. Yahan 'Secure Browsing' ka option hoga. Ise Start karne ke liye 'Edit' par click kare.

2.Be Careful While Sharing: Profile mein share ki gayi jaankari waise to harmful nahin hoti, lekin inka koi aur istemaal nahi kare iske liye kuch kadam uthane jaroori hai. Iske liye privacy me jaye aur 'Edit Setting' par click kare. Yeh 'How Tag Works' ke side mein diya jaata hai,ise Off kar dein. Iske baad koi aapki jaankari apni keh kar pesh nahi kar sakega.

3.Keep apart games and apps from your login: facebook ne app password suvidha start ki hai. Yeh ek bar use mein laye jaane wale password hote hain. Iske through user bina facebook password ke app ko use kar sakte hain. App password ke liye Account Setting me jaye. Phir 'Security Tab' ko select kar App password ke side mein diye 'Edit' par click kare. Iske baad diye gaye Instructions ko follow karte jaye. Facebook app ko install karne se pehle terms and conditions ko dhyan se samjh lein.

4.Dont Forget to Logout: facebook par browsing karne ke baad 'Logout' karna na bhule. Ye aadat 'Likejacking' ke khatre se safe karegi. Iske through hackers un site ya link ko like kar dete hain, jo like karne layak nahin hote hain.


How to keep neat and clean your Windows 7

Windows 7 mein aise bahut se tools diye gaye hain, jinki help se computer ko time-time par clean kiya ja sakta hai. Is se computer ki speed kam nahin hogi, sath hi hang ho jane ki problem bhi nahin jhelni padegi. Computer ho ya phir laptop agar aapke device mein Windows 7 hai, to kuch aasaan tarike se aap use saaf kar sakte hain.

1.Sabse pehle computer ke desktop mein diye gaye bekar ke Icon ko hata dein. Dhyan rakhe ki Icon ko Remove karte samay unhe recycle bin se bhi delete kar dein. Ya phir aap desktop se hi jis Icon ko Remove karna hai us ko select kar Shift+Delete key press kare, Icon Recycle bin mein na jaakar pura delete ho jaata hai.

2.Apne system mein ek Restore point bana kar rakhe. Is se agar future mein kabhi koi aisa virus aata hai, jo delete na ho sake, to system mein Restore data puri tarah se safe rahega.

3.Computer mein search temp file ko delete kar dein. Temp file delete karne ke liye taskbar mein diye gaye run par click kare. Run mein 'temp' likh kar Enter kare. Aisa karte hi temp folder ki saari files khul jayegi. Ye wo files hain, jo computer apne aap save karta rehta hai. Ab inhe delete kar dein.

4.Apni hard-drive mein space banane ke liye time-time par Disk Cleanup aur Disk-Fragmentation karte rahe. Is se sabhi files ek jagah par vyavasthit rehti hain.

New I-pad's Batteries are riskable

Baazar mein aate hi sansani bane Apple ke new i-pad ki battery purane version ke compare me jyada garm ho jaati hai. Electronic Gadgets ka review karne wale jaane maane group 'Consumer Reports' ne paaya ki 45 minutes tak chale ek zabardast Action Game ke dauran Apple ka naya Tablet 47 degree celsius tak garm ho gaya. Jab ki inhi conditions mein purana I-pad 39 degree celsius tak hi garm hota tha.

Importance Of Reviews: Kisi bhi Electronic Gadget ki safalta ya asafalta mein is group ki opinion aham maani jati hai. Naye I-pad ki garm hone ki samsya par group ne antim nirnay nahin liya hai. Woh jald hi final review jaari karega. Lekin pravakta ne kharidaro ko savdhani bartane ko kaha hai.

According to Apple: Apple ke ek pravakta ne kaha ki naya I-pad ek definite temperature limit ke andar hi kaam karta hai. Company ki website ke anusaar naya I-pad 0-35 degree celsius ki limit ke andar operate karta hai. Limit cross hone par I-pad apne aap band ho jata hai.