Followers

Monday 9 July 2012

APPs that put life in photos

Smartphoone ke photograph boring ho sakte hain, lekin agar kuch free application ki help li jaye to, unme bhi jaan bhari ja sakti hai. Jaante hain inke baare me.

Android Based Ke liye:
1.Pixlr O Matic: Yeh I-phone par photo sharing ki suvidha dene wale app Instragram ka clone hai. Is se aap photo ka Retro Style aur purane frame ka look de sakte hain. Photo ko manchaha effect de kar aap use easily apne phone par save kar apne friends ke sath share kar sakte hain.


2.FotoLR Photo Studio: Isme 22 photo editing aur picture ke effects hain. Isme portrait makeover feature bhi hain. Iske sath diye gaye photo album mein skin colour change kiya ja sakta hai, chehre ke daag-dhabbe remove kiye ja sakte hain, hair ko new style bhi di ja sakti hai aur makeup bhi kiya ja sakta hai. Iske profeesional version ki price 151 INR hai.

3.Photofunia: Is app ki help se aap photo me broken mirror jaise bahut tarah ke attractive effects daal sakte hain. Isme phoyo ko 150 alag-alag scene mein daala ja sakta hai. Isme photo ko Billboard, Art Gallery, mein dekha ja sakta hai ya kisi ki body me kisi ka chehra lagaya ja sakta hai.

Video Phones ke liye:
1.Photo FX Free: Isme phoyo khichkar use upload karne ke baad Vintage jaise effects diye ja sakte hain.
2.Poni foto: Isme grey scale, scepia jaise image effect, image size adjustment, croping ke alawa still image ko animated gif format mein change kiya ja sakta hai.

Blackberry ke liye:
1.Photo Studio: Is Blackbery messanger connected app ke through  photo mein 70 alag-alag effect daale ja sakte hain. Picture. Picture frame feature se many photos se stylish frame banaya ja sakta hai.
2.PhotoClub Free: Isme baaki suvidhaao ke alawa photo mein me choyr clipart aur frame daalne ki suvidha hai. Editing ke baad photo ko BBM ke through ya direct social network par share kiya ja sakta hai.

Blog in Hindi

Blog aajkal sabhi logo ki jarurat ban gaya hai, blog ke sahare hum apni abhivyakti ek aise plateform par prastut karte hai jahan se saari duniya ke log hume sunte hain. 13 January 2012, se mujhe bhi blog likhne ka shauk hua, internet to main last 2 years se use kar raha hu, lekin apna sara samay chating ki awaragardi me barbad kiya, kher waqt to barbad kiya lekin sikha bhi bahut kuch..
maine internet ke world me humesha kuch naya sikha hai. har pal har samay ek naya experience mila hai.
Internet aaj kal sabki aur waqt ki jarurat ban gaya hai, apne blog ko likhte samay mujhe jab bhi koi problem aati to main turant Internet ko khangalne baith jata tha par Internet ke page ko write karne ke liye language ka abhav aur weak english ki wajah se main apne blog itna acha na bna paya jitna wo deserve karta hai, but phir bhi jab kabhi main uski world ranking aur dusre stats dekhta hu to mujhe lagta hai ki self learning se maine bahut kuch pa liya hai..
Apne blog  ko banane ke baad sabse bada challenge use promote karne ka tha, blog ko promote karne ke liye bhi Internet hi sahara bana lekin internet par mojood aasimit tips ki wajah se main bahut confuse tha lekin baad me ek bahut hi achi site milli jahan apni site ke link ko promote karne ke liye aapko other bloggers aur webmasters ki site par visit karna hota hai.. Us site par maine bahut indian bloggers dekhe hain jinhone apne blog to bana liye hain par blogging ki knowledge na hone par aur unke blog me poor english ka use hone ki wajah se original contents post karne ke baad bhi apne blog ko popular na kar paye..


Internet par surfing aur browsing karte waqt maine ek baat pe notice kiya ki #3 par hum Indians hai jo sabse jyada net surf kiya karte hain, lekin humari National Language Hindi me websites ki ginti kam hai, haan kuch websites hai jo apna  pura content hindi fonts me publish karti hain.. but mobile usres ke liye aisi sites ek badi samasya hai kyunki hindi fonts wali sites sabhi mobiles par open nahi hoti,,, Ek site ki jaankari ke anusar India me sabse jyada Internet Mobile Users hi use karte hain..

Is blog ko likhne ka mera main aim hindi language me wo sabhi content likhna jo aap sabhi English weak hone ki wajah se samjh nahin paate aur jab tak koi cheez samajh me nahi aayegi to aap use padhne me aanand na le payenge...

To humesha connected rahe..