Followers

Thursday 19 July 2012

When Lose Your Demand Draft or Pay Order

Aaj kal Entrance Exams ya kisi college ya university mein admission fee ke liye Demand Draft ya Pay Order ka use kiya jaata hai. Agar by chance aapka DD ya PO kho jaata hai, to kya kare.

1.Keep the Details Of DD or PO: Sabse Important ye hai ki DD or PO ki saari details apne paas note kar safe rakhe. Jis se uske kho jaane ya chori hone par weh jaankari kaam aa sake. Agar yeh jaankari nahin hogi, to duplicate DD ya PO nahin milega.

Procedure:
A.Duplicate DD ya PO ko issue karne ke liye sambandhit Bank ko Application de. Is application mein Original DD ya PO ki saari details de. Jaise, Date, Instrument Number, Payment, To Issue, kahan Issue hona tha etc.
B.Application mein kiye gaye Signature aur fill ki gayi jaankari ko match kiya jaata hai. Signature ke match hone ke liye Original DD ya PO lene ke baad di gayi slip bhi kaam aati hai. So, use bhi sambhal kar rakhe.
C.Agar khoye huye ya chori huye DD ya PO ko cash nahin karaya gaya hai, to Bank Stamp Act ke according Stamp fees leti hai. Sath hi jamanat bhi maangta hai.
D.Agar DD ya PO 25 thousand rupees ya is se jyada ke hain, to Bank 2 logo ki jamanat laane ko kehti hai.
E.Jamanat dene wale ki identity ke base par Bank Duplicate DD ya PO issue karti hai.
F.Is ke liye Bank Rules and Regulation ke according Cancellation fees bhi leti hai. Is ke baad pehle wale DD ya PO ko cancel kiya jaata hai. Phir issue DD ya PO par Duplicate likhti hai.

No comments:

Post a Comment

write it