Followers

Monday 9 July 2012

Blog in Hindi

Blog aajkal sabhi logo ki jarurat ban gaya hai, blog ke sahare hum apni abhivyakti ek aise plateform par prastut karte hai jahan se saari duniya ke log hume sunte hain. 13 January 2012, se mujhe bhi blog likhne ka shauk hua, internet to main last 2 years se use kar raha hu, lekin apna sara samay chating ki awaragardi me barbad kiya, kher waqt to barbad kiya lekin sikha bhi bahut kuch..
maine internet ke world me humesha kuch naya sikha hai. har pal har samay ek naya experience mila hai.
Internet aaj kal sabki aur waqt ki jarurat ban gaya hai, apne blog ko likhte samay mujhe jab bhi koi problem aati to main turant Internet ko khangalne baith jata tha par Internet ke page ko write karne ke liye language ka abhav aur weak english ki wajah se main apne blog itna acha na bna paya jitna wo deserve karta hai, but phir bhi jab kabhi main uski world ranking aur dusre stats dekhta hu to mujhe lagta hai ki self learning se maine bahut kuch pa liya hai..
Apne blog  ko banane ke baad sabse bada challenge use promote karne ka tha, blog ko promote karne ke liye bhi Internet hi sahara bana lekin internet par mojood aasimit tips ki wajah se main bahut confuse tha lekin baad me ek bahut hi achi site milli jahan apni site ke link ko promote karne ke liye aapko other bloggers aur webmasters ki site par visit karna hota hai.. Us site par maine bahut indian bloggers dekhe hain jinhone apne blog to bana liye hain par blogging ki knowledge na hone par aur unke blog me poor english ka use hone ki wajah se original contents post karne ke baad bhi apne blog ko popular na kar paye..


Internet par surfing aur browsing karte waqt maine ek baat pe notice kiya ki #3 par hum Indians hai jo sabse jyada net surf kiya karte hain, lekin humari National Language Hindi me websites ki ginti kam hai, haan kuch websites hai jo apna  pura content hindi fonts me publish karti hain.. but mobile usres ke liye aisi sites ek badi samasya hai kyunki hindi fonts wali sites sabhi mobiles par open nahi hoti,,, Ek site ki jaankari ke anusar India me sabse jyada Internet Mobile Users hi use karte hain..

Is blog ko likhne ka mera main aim hindi language me wo sabhi content likhna jo aap sabhi English weak hone ki wajah se samjh nahin paate aur jab tak koi cheez samajh me nahi aayegi to aap use padhne me aanand na le payenge...

To humesha connected rahe..

1 comment:

  1. Bahut hi usefull post he aapki sir
    Aapne blog kab start kiya tha?

    Meri site
    http://www.hindimeinternet.com

    ReplyDelete

write it